Sunday, June 13, 2010

Yu hi jab waqt se lamhe churaye the..

Pal do pal mai yadoo mai kho aaye the..

Jab beeta har lamha aankho mai aansu laata tha..

Saath bitaya waqt uff kyu yaad aata tha..

Yu to lamho mai har khushiya samati thi humne..

Par fir aaj unlamho mai kho k aansu hi mile hai..

Tum bhi tum hi ho hum bhi hum hi hai sab wahi hai..

Dosti ab yadoo mai milti hai..

Baatein sari khayalo mai..

Sach sirf ye hai ki ab chayi sirf duriya hai..

Jaante hai hum bhi tum bhi humari majburiya hai..

Singned:

mAyAnk..:)

Wednesday, March 17, 2010

shikayat..

Mai bhi haara hu kai baar par mujhe ab gum nahi hai

sau baar gir k utha hu ab koi hone ko sitam nahi hai

Duniya ne dekha hai mujhko haste hue hardum

Par hasa kab tha mai dil se mujhe bhi malum nahi hai

Sochle tu mujhko kuch bhi ab mujhe parwa nahi hai

Kho nikla hu aakho se akhiri aasu bhi

Khone ko ab kuch aur nahi hai

Yu to har kadam aajmaya gaya hu mai tanha

Par ab koi aur imteha du himmat nahi hai

Bahut chal chuka hu mai ban pathar

Ab mujhe is tarah chalna nahi hai

Kaante hi kaate hai maine har kadam

Ab phoolo ka mujhe shauk nahi hai

Tum thi to zindagi se shikayat kuch kam thi

Ab tum na ho to bachi koi shikayat bhi nahi hai..